Monday, 31 October 2016

Kharab haal kiya dil ko pur-manal kiya



Kharab haal kiya dil ko pur-manal kiya
Tumhare kuche se rukhsat kiya nihal kiya

Na roo-e-Ghul abhi dekha na boo-e-Ghul sungi
Qaza ne lake qafs mein shakista baal kiya

Wo dil ke khu(n) shuda armaa(n) the jis mein mal dala
Fugaa(n) ke ghore shahida(n) ko paaemal kiya

Ye raae kya thi waha(n) se palatne ki Ae Nafs
Stam ghar ulti chhuri se hamein halal kiya

Ye kab ki mujh se adawat thi Tujh ko Ae Zalim
Chhoda ke sange dare paak sar wa baal kiya

Chaman se phenk diya aashiyana-e-Bulbul
Ujhada khana-e-Bekas bada kamal kiya

Tera sitam zada aankhon ne kya bigada tha
Ye kya samaee ke door unse wo jamaal kiya

Huzur unke khayal-e-watan mitana tha
Ham aap mit gaye achha farag baal kiya

Na Ghar ka rakha na us Dar ka haae na-kami
Hamari be-basi par bhi na kuchh khayal kiya

Jo dil ne mar ke jalaya tha mannaton ka charag
Sitam ke arz rahe sarsar zawal kiya

Madina chhod ke wirana Hind ka chhaya
Ye kaisa haae hawason ne iktilal kiya

Tu jis ke waste chhod aaya Tayba sa Mehboob
Bata to us sitam aara ne kya nihal kiya

Abhi Abhi to chaman mein the chahchahe nagah
Ye dard kaisa utha jis ne jee nidhal kiya

Ilahi sun le Raza ke jeete jee Maula ne
Sagane kucha mein chehra mera nihal kiya



No comments:

Post a Comment