Thursday, 3 November 2016

Ne'matein bantata Jis simt wo zi-shan gaya



Ne'matein bantata Jis simt wo zi-shan gaya
Sath hi munshi-e-Rehmat ka qalam-dan gaya

Le khabar jald ke gairon ki taraf dhyan gaya
Mere Aaqa Mere Maula Tere Qurban gaya

Aah wo aankh ke nakame tamanna hi rahi
Haae wo dil jo Tere dar se pur-arman gaya

Dil hai wo dil jo Teri yaad se ma'moor raha
Sar hai wo sar jo Tere qadmon pe qurban gaya

Unhe jaana Unhe maana na rakha gair se kaam
Lillahil Hamd mein duniya se Musalman gaya

Aur Tum par mere Aaqa ki inayat na sahi
Najdiyon ! kalma padhane ka bhi ahesan gaya

Aaj le unki panah , Aaj madad mang unse
Phir na maanenge qiyamat mein agar maan gaya

Uf re Munkir ye badha joshe ta'assub aakhir
Bhid mein hath se kambakht ke iman gaya

Jaano dil hosho khirad sab to madine pahunche
Tum nahin chalte Raza sara to saman gaya

Wednesday, 2 November 2016

Banda Milne ko kareeb-e-Hazrate Qadir gaya



Banda Milne ko kareeb-e-Hazrate Qadir gaya
Lam'aa-e-Batin mein gumne jalwaa-e-zaahir gaya

Teri marzi paa gaya suraj fira ulte qadam
Teri ungli uth gayee mah ka kaleja chir gaya

Badh chali teri ziya andher aalam se ghata
Khul gaya gaisu tera rehmat ka badal ghir gaya

Bandh gayee Teri hawa sawah mein khak udne lagi
Badh chali teri ziya aatash pe pani phir gaya

Teri rehmat se Safeeyullah ka beda paar tha
Tere sadqe se najeeyullah ka bajra tir gaya

Teri aamad thi ke Baitullah mujre ko jhuka
Teri haibat thi ke har but thar-thara kar gir gaya

Mo'meen un ka kya hua Allah us ka ho gaya
Kafeer unse kya fira Allah hi se fir gaya

Wo ke us dar ka hua khalke Khuda us ki huee
Wo ke is dar se fira Allah hi se phir gaya

Mujh ko deewana bata te ho mein wo hoshiyar hun
Paaon jab Tauf-e-Haram mein thak gaye sar phir gaya

Rehmatullil Aa'lamin Aafat mein hu(n) kaisi karu(n)
Mere Maula mein to is dil se bala mein ghir gaya

Mein Tere haathon ke sadqe kaisi kankariya(n) thi(n) wo
Jinse itne kaafiro(n) ka daf'atan munh phir gaya

Kyu(n) Janabe Bu Huraira tha wo kaisa jaame sheer
Jis se Sattar(70) sahibo(n) ka dudh se munh phir gaya

Wasta pyare ka Aesa ho ke jo Sunni mare
Yu(n) na farmaein Tere Shahid ke wo fajir gaya

Arsh par dhoomein machein wo mo'mine Saleh mila
Farsh se matam uthe wo Tayyibo Tahir gaya

Allah Allah ye ulluwe khase Abdiyyat Raza
Banda Milne ko kareeb-e-Hazrate Qadir gaya

Thokarein khate firoge unke dar par pad raho
Qafila to Ae Raza Awwal gaya Aakhir gaya



Monday, 31 October 2016

Kharab haal kiya dil ko pur-manal kiya



Kharab haal kiya dil ko pur-manal kiya
Tumhare kuche se rukhsat kiya nihal kiya

Na roo-e-Ghul abhi dekha na boo-e-Ghul sungi
Qaza ne lake qafs mein shakista baal kiya

Wo dil ke khu(n) shuda armaa(n) the jis mein mal dala
Fugaa(n) ke ghore shahida(n) ko paaemal kiya

Ye raae kya thi waha(n) se palatne ki Ae Nafs
Stam ghar ulti chhuri se hamein halal kiya

Ye kab ki mujh se adawat thi Tujh ko Ae Zalim
Chhoda ke sange dare paak sar wa baal kiya

Chaman se phenk diya aashiyana-e-Bulbul
Ujhada khana-e-Bekas bada kamal kiya

Tera sitam zada aankhon ne kya bigada tha
Ye kya samaee ke door unse wo jamaal kiya

Huzur unke khayal-e-watan mitana tha
Ham aap mit gaye achha farag baal kiya

Na Ghar ka rakha na us Dar ka haae na-kami
Hamari be-basi par bhi na kuchh khayal kiya

Jo dil ne mar ke jalaya tha mannaton ka charag
Sitam ke arz rahe sarsar zawal kiya

Madina chhod ke wirana Hind ka chhaya
Ye kaisa haae hawason ne iktilal kiya

Tu jis ke waste chhod aaya Tayba sa Mehboob
Bata to us sitam aara ne kya nihal kiya

Abhi Abhi to chaman mein the chahchahe nagah
Ye dard kaisa utha jis ne jee nidhal kiya

Ilahi sun le Raza ke jeete jee Maula ne
Sagane kucha mein chehra mera nihal kiya



Shore Mahe Sun kar Tujh tak mein rawa(n) aaya



Shore Mahe Sun kar Tujh tak mein rawa(n) aaya
Saaqi mein Tere Sadqe me de Ramzaa(n) aaya

Is ghul ke siwa har Phool bagosh kara(n) aaya
Deikhe hi gee Ae Bulbul jab waqt-e-Faga(n) aaya

Jab baam-e-Tajalli par wo nayyar-e-Jaa(n) aaya
Sar tha jo gira jhuk kar dil tha jo tapaa(n) aaya

Jannat ko haram samja aate to yaha(n) aaya
Ab tak ke har ek ka munh kehta hun kaha(n) aaya

Tayba ke siwa sab baag pamale fanah honge
Dekho ge Chaman walon ! Jab ahede khaza(n) aaya

Sar aur wo sange dar Aankh aur wo bazme noor
Zalim ko watan ka dhyan aaya to kaha(n) aaya

Kuchh naat ke tabke ka aalam hi nirala hai
Sakta mein padi hai aqal chakkar mein guma(n) aata

Jalti thi zameen kaisi thi dhoop kadi kaisi
Lo wo qade be saya ab saya kina(n) aaya

Tayba se ham aate hein kehte to jinaa(n) walo
Kya dekh ke jeeta hai jo waan se yaha(n) aaya

Le tauqe alam se ab aazad hawa-e-Qumri
Chitthi liye bakhshish ki wo sarware rawa(n) aaya

Naam-e-Raza se ab mit jaao bure kaamo
Dekho mere palle par wo acchhe miya(n) aaya

Badkar Raza khush ho badkar bhale honge
Wo Achhe Miya(n) pyara achhon ka Miya(n) aaya

Sunday, 30 October 2016

Na Aasman ko yun sar-kashida hona tha



Na Aasman ko yun sar-kashida hona tha
Huzure Khake Madina khameeda hona tha

Agar Gulon ko khazan narseeda hona tha
Kinare khaare Madina dameeda hona tha

Huzur unke khilafe adab thi betabee
Meri Ummid Tuje aarmeeda hona tha

Nazara khaake Madina ka aur Teri Aankh
Na Is kadar bhi Qamar ahokh deeda hona tha

Kinare khaake Madina mein rahatein miltin
Dile Hazeen ! Tuje Ashk chakeeda hona tha

Panahe damane Dashte Karam mein chain aata
Na Sabr dil ko gazale Rameeda hona tha

Ye kaise khilta ke unke siwa shafee nahin
Abas na auron ke aage tapeeda hona tha

Hilal kaise na banta ke maahe kaamil ko
Salame Abru-e-Shaie mein khameeda hona tha

"La am La Anna Jahannam" Tha wada azali
Na Munkiron ka abas bad-akeeda hona tha

Naseem kyun na shameem unki Tayba se laati
Ke Sub'he gul ko gareeban dareeda hona tha

Tapakta range junu(n) ishke shai'a mein har ghul se
Rage bahar ko nashtar rashida hona tha

Baja tha arsh pe khake mazare paak ko naaz
Ke Tujsa Arsh nasheen aafrida hona tha

Guzarte jaanse ek shor "Ya Habeeb" ke sath
Fugaan ko nala-e-halq bureeda hona tha

Mere Kareem gunah zahar hai magar aakhir
Koi to shahade shafa'at chasheeda hona tha

Jo sange dar pe jeen saaeeiyon mein tha mitna
To meri jaan sarare jaheeda hona tha

Teri qaba ke na kyun niche niche daman ho(n)
Ke khak saaron se na kab kasheeda hona tha

Raza jo dilko banana tha jalwa gahe Habeeb
To pyare qaid khoodi se raheeda hona tha


Lam Yaati Naziruka Fi Nazarin



Lam Yaati Naziruka Fi Nazarin
Misle Tu na Shud paida Jaana
Jag Raaj ko Taaj tore sar soo
Hai Tujko Shahe Do Sara Jaana

Al Bahru Ala Wal Mawju Taga
Man Be kaso Toofan Hosh Ruba
Manjdhar mein hun bigdi hai hawa
Mori nayya paar laga Jaana

Ya Shamso Nazar Li Ilaa layeli
Chub Tayba Rasi Arze Bakuni
Tori Jaut ki jal jal Jag mein rachi
Mori Shab ne na din hona jaana

Laka badrun Fil wajhil Ajmal
Khat Hala-e-mah zulf abre Ajal
Tore chandan chandar par wo kandal
Rehmat ki bharan barsa jaana

Ana Fi Atashiw wa sakha ka Atam
Ae gaisu-e-paak Ae Ae Abre Karam
Barsan haare Rimjim Rimjim
Do Bund idhar bhi gira jaana

Ya Qafilati zeedi Ajalak
Rahame bar Hasrate Tishna Labak
Mora Jeeara laraje darak darak
Tayba se abhi na suna jaana

Wa Halle-suaaten Zahabat
Aan Aahde Huzure ba Rag'hat
Jab Yaad Aawat mohe karna parat
Darda wo madine ka jaana

Al-Qalbo Shajjenwwa'l Hammu Shujjun
Dil zaar chunan jaa zer chunun
Pat Apni Bipat mein kaa se kahun
Mera Kaun hai Tere Siwa Jaana

Arruhi Fida ka Fazid Harqa
Yak Sho'al digar barzan ishqa
Mora Tan Man Dhan sab phoonk diya
Ye jaan bhi pyare jala jaana

Bas Khama-e-Kaam nawa-e-Raza
Na ye Tarz meri na ye Rang mera
Irshade Ahhiba naatiq Tha
Na-chaar is Rah pada jaana

Lutf Unka aam ho hi jaayega



Lutf Unka aam ho hi jaayega
Shaad har nakaam ho hi jaayega

Jaan de do wada-e-Deeadar par
Naqad apna naam ho hi jaayega

Shaad hai Firdos yaani Ek Din
Qismat-e-Khuddam ho hi jaayega

Yaad reh jaayengi ye be-bakiyan
Nafs Tu to ram ho hi jaayega

Be-nishanon ka nishan mit'ta nahin
Mit'te mit'te naam ho hi jaayega

Yaade Gaisu Zikre Haq hai Aah kar
Dil mein paida Laam ho hi jaayega

Ek Din aawaz badlenge ye saaz
Chehchaha kohram ho hi jaayega

Saeelon ! Daman sakhi ka tham lo
Kuchh na kuchh in'aam ho hi jaayega

Yaad abroo kar ke tadpo bulbulo !
Tukde Tukde daam ho hi jaayega

Muflison ! unki gali mein jaa pado
Baage Khuld ikraam ho hi jaayega

Ghar yunhi Rehmat ki taawilein rahin
Mad'ha har iljaam ho hi jaayega

Baadah khwari ka samaan bandhne ko to do
Shaikh durd aasham ho hi jaayega

Gham to Unko bhul kar lipta hai yun
Jaise Apna kaam ho hi jaayega

Mit ke ghar yunhi raha qarze hayat
Jaan ka nilaam ho hi jaayega

Aaqilon ! Unki nazar sidhi rahe
Buron ka bhi kaam ho hi jaayega

Ab to laayi hai shafa'at afw par
Badte Badte aam ho hi jaayega

Ae Raza har kaam ka ek waqt hota hai
Dil ko bhi aaram ho hi jaayega