Sunday, 30 October 2016

Na Aasman ko yun sar-kashida hona tha



Na Aasman ko yun sar-kashida hona tha
Huzure Khake Madina khameeda hona tha

Agar Gulon ko khazan narseeda hona tha
Kinare khaare Madina dameeda hona tha

Huzur unke khilafe adab thi betabee
Meri Ummid Tuje aarmeeda hona tha

Nazara khaake Madina ka aur Teri Aankh
Na Is kadar bhi Qamar ahokh deeda hona tha

Kinare khaake Madina mein rahatein miltin
Dile Hazeen ! Tuje Ashk chakeeda hona tha

Panahe damane Dashte Karam mein chain aata
Na Sabr dil ko gazale Rameeda hona tha

Ye kaise khilta ke unke siwa shafee nahin
Abas na auron ke aage tapeeda hona tha

Hilal kaise na banta ke maahe kaamil ko
Salame Abru-e-Shaie mein khameeda hona tha

"La am La Anna Jahannam" Tha wada azali
Na Munkiron ka abas bad-akeeda hona tha

Naseem kyun na shameem unki Tayba se laati
Ke Sub'he gul ko gareeban dareeda hona tha

Tapakta range junu(n) ishke shai'a mein har ghul se
Rage bahar ko nashtar rashida hona tha

Baja tha arsh pe khake mazare paak ko naaz
Ke Tujsa Arsh nasheen aafrida hona tha

Guzarte jaanse ek shor "Ya Habeeb" ke sath
Fugaan ko nala-e-halq bureeda hona tha

Mere Kareem gunah zahar hai magar aakhir
Koi to shahade shafa'at chasheeda hona tha

Jo sange dar pe jeen saaeeiyon mein tha mitna
To meri jaan sarare jaheeda hona tha

Teri qaba ke na kyun niche niche daman ho(n)
Ke khak saaron se na kab kasheeda hona tha

Raza jo dilko banana tha jalwa gahe Habeeb
To pyare qaid khoodi se raheeda hona tha


No comments:

Post a Comment