Lutf Unka aam ho hi jaayega
Shaad har nakaam ho hi jaayega
Jaan de do wada-e-Deeadar par
Naqad apna naam ho hi jaayega
Shaad hai Firdos yaani Ek Din
Qismat-e-Khuddam ho hi jaayega
Yaad reh jaayengi ye be-bakiyan
Nafs Tu to ram ho hi jaayega
Be-nishanon ka nishan mit'ta nahin
Mit'te mit'te naam ho hi jaayega
Yaade Gaisu Zikre Haq hai Aah kar
Dil mein paida Laam ho hi jaayega
Ek Din aawaz badlenge ye saaz
Chehchaha kohram ho hi jaayega
Saeelon ! Daman sakhi ka tham lo
Kuchh na kuchh in'aam ho hi jaayega
Yaad abroo kar ke tadpo bulbulo !
Tukde Tukde daam ho hi jaayega
Muflison ! unki gali mein jaa pado
Baage Khuld ikraam ho hi jaayega
Ghar yunhi Rehmat ki taawilein rahin
Mad'ha har iljaam ho hi jaayega
Baadah khwari ka samaan bandhne ko to do
Shaikh durd aasham ho hi jaayega
Gham to Unko bhul kar lipta hai yun
Jaise Apna kaam ho hi jaayega
Mit ke ghar yunhi raha qarze hayat
Jaan ka nilaam ho hi jaayega
Aaqilon ! Unki nazar sidhi rahe
Buron ka bhi kaam ho hi jaayega
Ab to laayi hai shafa'at afw par
Badte Badte aam ho hi jaayega
Ae Raza har kaam ka ek waqt hota hai
Dil ko bhi aaram ho hi jaayega
Shukr E Khuda Ki Aaj Ghadi Us Safar Ki Hai, aur Bhaanti Nahi Hum Dum Mujhe Jannat Ki Jawaani ki b lyrics add kar dijiye Hadaiq E Bakhshish Se. Jazaka ALLAAH Khair
ReplyDelete