Muhammad Mazhar-e-Kamil hai Haq ki shan-e-Izzat ka
Nazar aata hai is Kasrat mein kuchh andaz wahdat ka
Yahi hai asal-e-Aalam madda eejad-e-Khalqat ka
Yahan wahdat mein barpa hai ajab hangama kasrat ka
Gada bhi muntazir hai Khuld mein nekon ki dawat ka
Khuda din khair se laaye sakhee ke ghar ziyafat ka
Gunah magfoor , Dil Roshan , Khank Aankhein , Jigar Thanda
Ta'aalallah ! Maahe Tayba aalam Teri Tal'at ka
Na Rakkhi Gul ke Joshe Husn ne Gulshan mein jaa baki
Chatakta fir kahan guncha koi baag-e-Risalat ka
Bada ye silsila Rehmat ka daur-e-Zalfe wala hai
Tasalsul ka le koson reh gaya isyan ki zulmat ka
Safe matam uthe , khali ho zindan , tootein Zanjeerein
Gunahgaron ! Chalo Maula ne dar khola hai Jannat ka
Sikhaya hai ye kis gustakh ne aayina ko Ya Rabb
Nazara Roo-e-Janan ka bahana kar ke hairat ka
Idhar ummat ki hasrat par udhar Khaliq ki Rehmat par
Nirala Taur hoga gardishe chashme shafa'at ka
Badhin is darja mozein kasrat-e-Afzale wala ki
Kinara mil gaya is naher se dariya-e-wahdat ka
Khame zulfe nabi sajid hai mehrabe do abroo mein
Ke Ya Rabb Tu hi Wali hai siya karane ummat ka
Madad Ae Joshish-e-girya baha de koh aur sehra
Nazar aa jaaye jalwa be hijab is paak tohbat ka
Hue kam-khwabi behraan mein saaton parde kam-khwabi
Tasawwur khub bandha aankhon Astare Turbat ka
Yakeen hai waqt-e-Jalwa lagzishein paaye nigah paaye
Mile joshe safa-e-Jism se paboos Hazrat ka
Yahan chhidka namak waan marham-e-kafoor hath aaya
Dil zakhmi namak parwarda hai kis ki malahat ka
Ilahi muntazir hun wo khirame naaz farmaein
Bichha rakhaa hai farsh aankhon ne kam khwabe basarat ka
Na ho Aaqa ko sajda Aadamo Yusuf ko sajda ho
Magar sadde zara-e-daag hai apni shariyat ka
Zabane khar kis kis dard se un ko sunati hai
Tadapna dashte Tayba mein jigar afgar furkat ka
Sirhane unke Bismil ke ye betabi ka matam hai
Shahe Kausar taraham tashna jata hai ziyarat ka
Jinhe marqad mein ta hashr ummati keh kar pukaroge
Hamein bhi yaad karlo un mein Sadqa Apni Rehmat ka
Wo chamkein bijliyan Ya Rabb Tajalliya-e-Jana(n) se
Ke chashme Toor ka surma ho dil mushtaq rooyat ka
Raza-e-Khsta ! Joshe behre Isyaan se na ghabrana
Kabhi to haath aa jaaega daman unki Rehmat ka
No comments:
Post a Comment