Friday, 8 April 2016

Wah kya judo karam hai shahe bat'ha tera


Wah kya judo karam hai shahe bat'ha tera
Nahin sunta hi nahin mangne wala tera

Dhare chalte hein ata ke wo hai qadrah tera
Tare khilte hein sakha ke wo hai zarra tera

Faiz hai ya shahe tasneem nirala tera
Aap pyason ke tajassus mein hai dariya tera

Agniyaa palte hein dar se wo hai bada tera
Asfiyaa chalte hein sar se wo hai rasta tera

Farsh wale teri shokat ka uluv kya jaane
Khusrawan arsh pe udta hai farera tera

Aasman khwan , zameen khwan , zamana mehman
Sahibe khana laqab kiska hai tera tera

Mein to mailk hi kahun ga ke ho mailk ke habeeb
Yani mehboobo muhhib mein nahin mera tera

Tere kadmon mein jo hai ghair ka muh kya dekhe
Kaun nazron pe chadeh dekh ke talwa tera

Behare saeel ka hun saeel na kunven ka pyasa
Khud buja jaaye kaleja mera chhinta tera

Chor hakim se chhupa karte hein ya uske khilaf
Tere daman mein chhupe chor anokha tera

Aankhen thandi hon jigar taaje hon jaanein sayrab
Sachche suraj wo dil aara hai ujala tera

Dil abas khauf se patta sa uda jaata hai
Palla halka saheeh bhari hai bharosa tera

Ek mein kya mere isyaan ki hakeekat kitni
Muj se so laakh ko kafi hai ishara tera

Muft pala tha kabhi kaam ki aadat na padhi
Ab amal puchhte hein haye nikamma tera

Tere tukdon pe pale ghair ki thokar pe na dal
Jidkiyan khayen kahan chhod ke sadka tera

Khwaro bimar khatawaro gunahghar hun mein
Raafei wa nafein wa shafei lakab aaqa tera

Meri takdeer buri ho to bhali karde ke hai
Mahaw wa asbat ke daftar pe karoda tera

Tu jo chahe to abhi mail mere dil ke dhulein
Ke khuda dil nahin karta kabhi maila tera

Kiska munh taken kahan jaayen kis se kahein
Tere hi kadmon pe mit jaaye ye paala tera

Tu ne islam diya tune jama'at mein liya
Tu kareem ab koi firta hai atiyyah tera

Maut sunta hun sitam sakht hai zahrabae naab
Kaun lade muje talwon ka gisala tera

Dur kya janiye badkar pe kesi guzre
Tere hi dar pe mare bekaso tanha tera

Tere sadke muje ek bund bahot hai teri
Jis din achhon ko mile jaam chhalakta tera

Haram wa bagdad wa Tayba jidhar kijiye nigah
Jhot padti hai teri noor hai chhanta tera

Teri sarkar mein lata hai Raza usko shafee
Jo mera gaus hai aur ladala beta tera






No comments:

Post a Comment