Monday, 11 April 2016

Wah kya martaba ae gaus hai bala tera



Wah kya martaba ae gaus hai bala tera
Unche unchon ke saron se kadam aala tera

Sar bhala kya koi jaane ke hai kesa tera
Auliya malte hein aankhein wo hai talwa tera

Kya dabe jispe himayat ka ho panja tera
Sher ko khatre mein lata nahin kutta tera

Tu hussaini tu hasani kyun na muhiyuddin ho
Ae Khizar majma e bahrayn hai chashma tera

Qasmein de de ke khilata hai pilata hai tuje
Pyara allah tera chahane wala tera

Mustafa ke tane be-saya ka saya dekha
Jisne dekha meri jaan jalwa-e-zayba tera

Ibne zohra ko mubarak ho aruse qudrat
Qadri payein tasadduk mere dulha tera

Kyun na kasim ho ke tu ibne abil kasim hai
Kyun na qadir ho ke mukhtar hai baba tera

Nabawi minh alawi fasl batuli gulshan
Hasani ful husaini hai mahekna tera

Nabawi zil alawi barj batuli manzil
Hasani chand husaini hai ujala tera

Nabawi khur Alawi koh batuli ma'din
Hasami la'al husaini hai tajalla tera

Bahro bar sehro qura Sahalo khuzan dashto chaman
Kaun se chak pe pahunchta nahi dawa tera

Husne niyyat ho khata fir kabhi karta hi nahin
Aazmaya hai yagana hai dughana tera

Arze ahwal ki pyason mein kahan taab magar
Aankhein ae abre karam takti hein rasta tera

Maut nazdik gunahon ki tahyee mail ke khol
Aa baras ja ke naha dhole ye pyasa tera

Aab aamad wo kahe aur mein tayammum barkhast
Mushte khak apni ho aur noor ka ahla tera

Jaan to jaate hi jayegi qayamat ye hai
Ke yahan marne pe thehra hai nazara tera

Tuj se dar dar se sag aur sag se hai mujko nisbat
Meri gardan mein bhi hai door ka dora tera

Is nishani ke jo sag hein nahin mare jaate
Hashr tak mere gale mein rahe patta tera

Meri kismat ki kasam khayein sagane bagdad
Hind mein bhi hun do deta rahun pehra tera

Teri izzat ke nisar ae mere gairat wale
Aah sad Aah ! yun khwar ho birwa tera

Bad sahi chor sahi mujrimo nakara sahi
Ae wo kesa hi sahi hai to karima tera

Mujko ruswa bhi agar koi kahega to yunhi
Ke wahi na , wo Raza banda e ruswa tera

Hein Raza yun na balke tu nahin Jayyid to naho
Sayyed jayyed har dahar hai maula tera

Fakhre aaqa mein Raza aur bhi ek najme rafee'e
Chal likha laaun sana khwanon mein chehra tera






No comments:

Post a Comment