Sunday, 17 April 2016

Tu hai wo gaus ke har gaus hai shayda tera



Tu hai wo gaus ke har gaus hai shayda tera
Tu hai wo gays ke gays hai pyasa tera

Suraj gulon ke chamakte the chamak kar dube
Ufak noor pe hai maher hamesha tera

Murg sab bolte hein bol kar chup rehte hein
Han aseel ek nawa sanj rahega tera

Jo wali qabl the ya ba'd hue ya honge
Sab adab rakhte hein dil mein mere aqa tera

Ba-kasam kehte hein shahane sar-yafeen wa hareem
Na hua hai na wali ho koi hamta tera

Tuj se aur dahar ke aqtab se nisbat kesi
Qutb khud kaun hai khadim tera chela tera

Sare aqtab jahan karte hein ka'ba ke tawaf
Ka'ba karta hai tawafe dare wala tera

Aur parwane hein jo hote hein ka'ba pe nisar
Sam'a ek tu hai ke parwana hai ka'ba tera

Shajar saro sahee kis ke ugaye tere
Ma'refat fhul sahi kis ka khilaya tera

Tu hai nosha'a barati hai ye sara gulzar
Layee he fasal siman ghundh ke sehra tera

Daliyan jhumti hein rashke khushi jhosh pe hai
Bulbulein jhumti hein ghati hein sehra tera

Gheet kaliyon ki chatak gazlein hazaron ki chehak
Baag ke saazon mein baheta hai tarana tera

Safe har shajrah mein hoti hai salami teri
Shakhein jhuk jhuk ke baja latin hein mujra tera

Kis gulistan ko nahin fasle bahari se niyaz
Kaun se silsile mein faiz na aaya tera

Nahin kis chand ki manzil mein tera jalwa e noor
Nahin kis aayina ke ghar mein ujala tera

Raaj kis shehar mein karte nahin tere khuddam
Baaj kis nahar se leta nahin dariya tera

Mazra-e-chisht va bukhara va iraq va ajmer
Kaunsi kisht pe barsa nahin ujala tera

Aur mehboob hein , haan par sab yaksaan to nahi
Yun to mehboob hai har chahne wala tera

Isko so fard sarapa ba-faragat odein
Tang ho kar jo utarne ko ho neema tera

Ghardanein jhuk gayin sar bichh gaye dil lut gaye
Kashfe saaq aaj kahan ye to kadam tha tera

Taaje firke arafa kis ke kadam ko kahein
Sar jise baaj dein wo paaon hai kis ka tera

Sukar ke josh mein jo hein wo tuje kya jaane
Khizr ke hosh se puchhe koi rutba tera

Aadami apne hi ahwal pe karta hai kiyas
Nashe walon ne bhala sukar nikala tera

Wo to chhota hi kaha chahein ke hein zere hazeez
Aur har auoj se uncha hai sitara tera

Dale aa'da ko Raza tez namak ki dhun hai
Ek zara aur chhidakta rahe khama tera




No comments:

Post a Comment