Saturday, 29 October 2016

Ham Khak hein aur khak hi mawa hai hamara Lyrics



Ham Khak hein aur khak hi mawa hai hamara
Khaki to wo Adam Jadd Aala hai hamara

Allah hamein khak kare Apni talab mein
Ye khak to Sarkar se tamga hai hamara

Jis khak pe rakhte the kadam Sayyed-e-Alam
Us khak pe qurban dile shayda hai hamara

Kham ho gayi pushte falak is ta'ne zameen se
Sun ham pe Madina hai wo rutba hai hamara

Is ne lakab-e-Khak Shahenshah se paya
Jo Haidar-e-Karrar ke Maula hai hamara

Ae Muddaeeyon ! Khak ko Tum khak na samje
Is khak mein madfoon Shahe Bat'ha hai hamara

Hai khak se Ta'meer mazar-e-Shahe Kaunain
Ma'moor Isi khak se Qibla hai hamara

Ham khak udaeinge jo wo khak na payee
Aabad Raza jispe Madina hai hamara

No comments:

Post a Comment